Monday, December 2, 2019

Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastageer Naat Lyrics

Imdad kun Imdad kun, imdad kun
Azaranj wa gham azad kun,
Dar deeno dunya shaad kun …2
Ya Ghaus e Azam dastagheer …2
Imdad kun Imdad kun, imdad kun,Tere haath mein haath maine diya hai …2
Teray haath hai laaj Ya Ghaus e Azam
Nikala hai pehlay to doobay huoon ko …2
Aur ab doobtoon ko bacha Ghaus e Azam
Bhawar mein phansa hai safina hamara …2
Bacha Ghaus e Azam, Bacha Ghaus e Azam
Kasam hai ke mushkil ko mushkil na paya …2
Kaha hum nay jis waqt Ya Ghaus e Azam
Mureedoon ko khatra nahin bahr e ghum say …2
Kay beray ke hain na khuda Ghaus e Azam
Kahein kis say jakar Hassan apne dil ki …2
Sunne koun teray siwa Ghaus e Azam

Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastageer Naat Lyrics


Ta’tjalli’a ey Nooré Fidam Ghaus e A’zam
Ziyaaey Siraajo Zulm Ghaus é A’zamKhabar Lo Hamaari Ke Ham Hain Tumhaare
Karo Ham Pe Fazlo Karam Ghaus e A’zam
Tere Hote Ham Par Sitam Dhaa e Dushman
Sitam Hai, Sitam Hai, Sitam Ghaus e A’zam
Woh eek Waar Ka Bhi Na Hoga Tumhaare
Kahaan Hai Mukhaalif Mein Dam Ghaus e A’zam
Na Palla Hai Halka Hamaara Na Ham Ho’n
Na Bigre Hamaara Bharam Ghaus e A’zam
Khudaara Ab Aao Ke Dam Hai Labon Par
Karo Ham Pé Yaasin, Fidam Ghaus e A’zam
Tumhaare Karam Ka Hai Noori Bhi Pyaasa
Mile djam Se Us Ko Bhi Nam Fidam Ghaus e A’zam

Imdad Kun Imdad Kun Ya Ghaus E Azam Dastageer Naat Lyrics

Hamaray Aaqa hamaray Moula Imam e Azam Abu Hanifa
Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu HanifaTum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
Zamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin
Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa
Tumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham
Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa
Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat
Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa
Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib
Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa
Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan
Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa
Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik
Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa
Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain
wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa
Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat
Wo Tera ho kar phiray bathakta? Imame Azam Abu Hanifa

No comments:

Post a Comment